Sunday, September 9, 2012

Dangai

Dangai to hum bhi nahi hai galib
Bas sath to ho lete hai hum
Ke aag lage hmare ghar me
To bujhane vala sath koi aur bhi ho

Saturday, September 8, 2012

Dange

Jab hote hai dange galib
to hum is firak me hote hai ki kahi 100-200 mil jaaye gire hue
ki hamara chula fir jal jaaye kuch dino ke liye...

Jo bhadakate hai aag vo to sirf sekate hai rotiya
aur mare gile lasho ki rotiya khud bhi khate hai aur
aur baccho ko bhi apane gangai banate hai....

hum to doondhate hai kuch saman ki
unhe bhech ke kuch din aur hamara chula jal sake...

Thursday, September 6, 2012

Kaun sochata hai

 

77-percent-poor-in-india_26

Kaun sochata hai hamare baare me .....
Ki jiye ya mare fark kisako padata hai.....
Hum to paida bhi bojh ki tarah hote hai...
aur bhojhil ho ke mar jaate hai.....
sab apani hi fikar me choor hai... 
ki hame to 29 rupaye bhi nasib nahi
ki hum bhi kahane ke lkye hi sahi
thode din ke liye ameer ho jaaye......



Wednesday, September 5, 2012

वक्त

Vakt ne kitana bahaka diya hai muje aaj....
ki samay beet gai kab ye hosh nahi hai.....

 

वक्त ने कितना बहका दिया है मुझे

की समय बीत गई कब ये होश नहीं है.....



वक्त

Vakt ne kitana bahaka diya hai muje aaj....
ki samay beet gai kab ye hosh nahi hai.....

 

वक्त ने कितना बहका दिया है मुझे

की समय बीत गई कब ये होश नहीं है.....



Sunday, August 26, 2012

ye kaha le aai hai jindagi hame

ye kaha le aai hai jindagi hame...
ki shayad hum  bahut door nikal aaye hai ya ke vo...

ki purane sathi.. abh nai duniya ke vaasinde ho chuke hai...
aur hum hai ki doondhate hai.. un purane lamho ko...



Saturday, August 25, 2012

इस मुस्कान

 

इस मुस्कान पे मर ना जाए तो क्या करे कोई....
थोड़ा और मुस्कुरा दो की
शहर की आवादी बहुत ज्यादा है....



Saturday, August 18, 2012

Mobaat

Mobaat ki tasvir badal jayegi
Aap dekh to lijiye palat ke ek baar
Divano ki takdir badal jayegi...

Sunday, August 12, 2012

बस काफी है

 

कांस्य और चांदी ले के खुश हो लिए हम की सोना बहुत महंगा है……

Friday, August 10, 2012

Kyu kare ramdev ansan.. aur kyu anna bhukhe mare...

Kyu kare ramdev ansan.. aur kyu anna bhukhe mare...
hum to 2-4 baar me astrh daal so jaate hai....
aur apane uper kiye ja rahe atyachar bhool jate hai...
neend bhaut pyaari hai hame ki sona sabase badi jaroorat hai hamari...
chahe sote haue gala kaat jaaye koi hamara...
ki hame kya padi hai...
ye chinta to raamdev aur aanna ki hai...
hame to chadder daal ke sona hai..
aur petrol daal chawal ke badhe daam dekh ke rona hai...
problem hamara koi aur solve karega
aisa hamesha kyu hai hamare liye koi aur marega.....